Raah ki talaash
naa manjil pata he na raah,
chalte rahe he hum kisi bhi raaste pe,
naa dosto ne saath diya, na koi hum dum mila,
aakhir raasto ne bhi mod lekar, moonh fir liya,
hum ne to hamensha pyaar baant na chaha har mod par,
logo ne usi pyaar ka khilona bana k khel liya,
naa aayi samaj hame apne ya gero ki,
sab ko apna samaj ne ki kya galti kar di hamne !!
sab hi thokar maar chale.
kabhi duniya ki najro me to kabhi dil ke kisi kone me.
naa kisi ne suni mere dil aawaz,
bas apne hi dimag se natiza sunate gaye.
dil se aansu aankho tak to la na sake,
aur log berahem kehte chal diye.
naa hame ab he humsafar ki talaash,
naa humraahi chahia,
jindagi bas raah dikha de,
naa hi hame ab manjil chahia
0 comments:
Post a Comment